MUJHE BAS LIKHNA AATA HAI

​Mujhe shayari sunana nahi aata,

Par likhna aata hai.

Mujhe nazm sunana bhi nahi aata,

Par likhna aata hai.

Has kar kisiki buraai kar jaana, nahi aata,

Par samajhkar use samjhana, aata hai.


Mujhe geet gaana nahi aata,

Par likhna aata hai.

Mujhe ghazal sunana bhi nahi aata,

Par likhna aata hai.

Kuch galat keh kar, dil dukhana nahi aata,

Par sach keh kar, manana aata hai.


Mujhe ishq karna nahi aata,

Par likhna aata hai.

Mujhe taareef karna bhi nahi aata,

Par likhna aata hai.

Dil na de kar, pyaar jatana, nahi aata,

Par dil de kar, nibhana, aata hai.


Mujhe bhool jaana, nahi aata,

Par likhna aata hai.

Mujhe zabaan ladana, nahi aata,

Par likhna aata hai.

Kisiko kamzarf batana, nahi aata,

Par aala-zarf lafzon me kar jaana, aata hai.


Dard me hasana, nahi aata,

Par lamhon ko yaadgar banana, aata hai.

Aur yeh sab isliye kyunki mujhe bas likhna aata hai.

-Ilyas Khatri

 

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out / Change )

Twitter picture

You are commenting using your Twitter account. Log Out / Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out / Change )

Google+ photo

You are commenting using your Google+ account. Log Out / Change )

Connecting to %s